Soz Mein Bhi Wahi Ik Nagma Hai Jo Saaz Mein Hai

Soz Mein Bhi Wahi Ik Nagma Hai Jo Saaz Mein Hai;
Fark Nazdeeq Kee Aur Door Kee Aawaz Mein Hai;

Ye Sabab Hai Ki Tadap Seena-e-Har-Saaz Mein Hai;
Meri Aawaz Bhi Shamil Teri Aawaz Mein Hai;

Aashiqon Ke Dil-e-Majrooh Se Koi Puche;
Wo Jo Ik Lutf Nigah-e-Galat-Andaaz Mein Hai;

Gosh-e-Mushtaq Kee Kya Baat Hai Allaah-Allaah;
Sun Raha Hun Main Jo Nagma Jo Abhi Saaz Mein Hai!…

Continue Reading
Love Shayari, Bewafa Shayari, Dukh Shayari, Zindgi Shayari. Shayari on all Topics Click Here & Download Android App